Yun To Syed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho, Tum Sabhi Kuch Ho, Batao To Musalman Bhi Ho by Allama Iqbal | Sir Muhammad Iqbal ( November 1877 – 21 April 1938) was a South Asian Muslim writer, philosopher, scholar and politician, whose poetry in the Urdu language is considered among the greatest of the twentieth century.
Yun To Syed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho, Tum Sabhi Kuch Ho, Batao To Musalman Bhi Ho
Waiz-e-qaum Ki Woh Pukhta Khayali Na Rahi,
Barq-e-Taba’ee Na Rahi, Shola Maqali Na Rahi
Reh Gayi Rasm-e-Azaan, Rooh-e-Bilali Na Rahi,
Falsafa Reh Gaya, Talqeen-e-Ghazali Na Rahi
Masjidein Marsiya Khwaan Hain Ke Namazi Na Rahe,
Yani Vo Sahib-e-Ausaf-e-Hijazi Na Rahe
Shor Hai Ho Gaye Duniya Se Musalman Naabud,
Hum Ye Kehte Hain Ke The Bhi Kahin Muslim Maujud?
Waza Mein Tum Ho Nasara, Tau Tamaddun Mein Hunood,
Yeh Musalman Hain! Jinhain Dekh Ke Sharmaen Yahood?
Yun To Syed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho,
Tum Sabhi Kuch Ho, Batao To Musalman Bhi Ho?
Meaning
Waiz – Salahkaar
Barq – Maheen
Taba’ee – Buniyadi Baatein
Maqali – Bayan
Talqeen – Nasihat
Marsiyan – Elegy
Ausaf – Khubiyaan
Hijazi – Hijaz(City)
Nabud – Tabaah
Waza – Moujudgi
Nasara – Christian’s
Tamaddun – Civilisation
Hunood – Hindu’s
Yahood – Jew’s
Mir Taqi Mir Shayri- मीर तकी मीर शायरी