Kabhi Arsh Par Kabhi Farsh Par | Parveen Shakir

Kabhi Arsh Par Kabhi Farsh Par | Parveen Shakir | Parveen Shakir PP (Urdu: پروین شاکر; 24 November 1952 – 26 December 1994) was a Pakistani poet, teacher and a civil servant of the government of Pakistan. She is best known for her poems, which brought a distinctive feminine voice to Urdu literature, and for her consistent use of the rare grammatical feminine gender for the word “lover”.

Kabhi Ruk Gaye
Kabhi Chal Diye !
Kabhi Chalte Chalte Bhatak Gaye,

Yunhi Umar Saari Guzaar Di
Yunhi Zinndagi Ke Sitam Sahe…

Kabhi Neend Mein
Kabhi Hosh Mein!
Tu Jahan Mila
Tujhe Dekh Kar

Na Nazar Mili
Na Zubaan Hili,
Yunhi Sar Jhuka Ke Guzar Gaye…

Kabhi Zulf Par,
Kabhi Chashm Par,
Kabhi Tere Hasin Wajood Par

Jo Pasand The Meri Kitab Mein
Wo Sher Saare Bikhar Gaye!

Mujhe Yaad Hai
Kabhi Ek The
Magar Aaj Hum Hai Juda Juda

Wo Juda Hue To Sanwar Gaye
Hum Juda Hue To Bikhar Gaye!

Kabhi Arsh Par
Kabhi Farsh Par,
Kabhi Unke Dar
Kabhi Dar-Badar
Gham – e – Ashiqui Tera Shukriya
Hum Kahan Kahan Se Guzar Gaye.

Bata Kiya Kya Tune Mere Liye – Abrar Kashif- click here to read

Kabhi Arsh Par Kabhi Farsh Par – Moulana Tarik Fateh

Kabhi Arsh Par
Kabhi Farsh Par
Kabhi Unke Dar
Kabhi Dar-Badar
Gham-e-Ashiqui Tera Shukriya
Hum Kahan Kahan Kahan Se Guzar Gaye
Kabhi Rasto Mein Tanha
Kabhi Hu Gurood-e-Sehra
Main Junoon Ka Humsafar
Mera Koi Ghar Nahi Hai!

Hindi Font

कभी अर्श पर
कभी फर्श पर
कभी उनके दर
कभी दर-बदर
गम-ए-आशिकी तेरा शुक्रिया
मे कहां कहां से गुजर गया |
कभी रस्तो में तन्हा
कभी हू गुरुद-ए-सेहरा |
मैं जुनून का हमसफ़र
मेरा कोई घर नहीं है!

3 thoughts on “Kabhi Arsh Par Kabhi Farsh Par | Parveen Shakir”

Leave a Comment